TALLY ERP 9 ME MANUFECTURING ENTRY (BOM) KAISE KAREN :-
DOSTO MAI IS TOPIK PAR BATANE WALA HUN KI TALLY ERP 9 MANUFECTURING ENTRY KAISE KAREN,JISKO HUM SHORT ME BOM BOL SAKTE HAI .DOSTO MAI IS ENTRY KO STEP BY STEP BATANE WALA HUN .AAP STEP BY SEP FOLLOW KARNA .BAHUT HI AASANI SE ENTRY KO KAR SAKTE HAI
STEP 1
DOSTO SABSE PAHLE AAP NE TALLY ERP 9 ME VO ITEMS CREATE KARNI HAI JO HAME MANUFECTURING ME USE HONI HAI.
ITEM CREATE KARNE KE LIYE
INVONTRY > STOCK ITEMS > CREATE
JAB AAP ITEM CREATE KARTE HAI TO AAP NE ITEM KA NAME ,UNDER PRIMERY OR BOM ME AAPNE NO RAKHNA HAI.IS PARKASR SE AAPNE SABHI ITEMS CREATE KAR LENI HAI.
DOSTO AAP JAB SABHI ITEMS CREATE KI HAI ,AB AAPNE LAST ME FINISH GOODS KI ITEM CREATE KARNI HAI.YANI KI JO ITEMS AAPNE REDDY KARNI HAI .IS ITEM KO CREATE KARTE SAMAY KUCHH BATON KA DYAN RAKHNA HAI.
STEP 2.ENABLE COMPONENT LIST DETAIL (BOM)
1. FINISH GOODS KI ITEM CREATE KARNE SE PAHLE AAP NE F12 PRESS KARNA HAI.OR ISKE BAAD AAP NE IVONTRY INFO.PAR ENTER KARENGE,ISKE BAAD MASTER CONFIGRATION OPEN HO JAVEGA.FIR AAP NE ENTER KARTE HUE ENABLE COMPONENT LIST DETAIL (BOM) PAR YAS KARNA HAI.
ISKE BAAD AAPNE ITEM CREATE PAR JANA HAI OR FINISH GOODS KI ITEM CREATE KARNI HAI.PAHLE REDDY GOODS ,FINISH GOODS KA NAAM DENA HAI UNDER ME PRIMERY RAHEGA OR BOM PAR YES KARNA HAI.JAISE HI AAP YES KARTE HAI AAP KE SAMNE NEW WINDOW OPEN HO JAVEGI
TO AAPNE SABSE PAHLE ITEM KA NAAM DENA JO JO REDDY GOODS HOGA TO AAP NE AAGE LIST OF MANUFECTRURING ME 1 ITEMS DENA HAI.
FIR AAP NE ENTER KARNA HAI TO AAP KE SAMNE AITEMS KI LISTE SHOW HO JAVEGI JO KI AAPNE MANUFECTRING ME USE LENA HAI.
I ITEMS PAR ENTER KARNA HAI .USKE BAAD AAP NE GOODS KAHAN SE USE KIYA HAI YANI KI GODAWN LOCATION DE DENA HAI.BAAD ME AAPNE BATANA HAI KI 1 ITEM REDDY HONE ME AAP KA GOODS KITNA LAGEGA. DOSTO ISHI PARKAR AAPNE SABHI ITEMS ENTER KARNI HAI OR JITNA JITNA USE HONA HAI AAP NE BHAR DENA .OR ENTER ENTER KARKE ITEM KO ACCECPT KAR DENA HAI.AAP KA STEP 2 COMPLETE HO GYA HAI.AAGE CHALTE HAI STEP 3 PAR.
STEP 3 CREATE MANUFECTURING VOUCHER :-
DOSTO MANUFECTURING VOUCHER BANANE KE LIYE AAP NE GATEWAY OF TALLY PAR JANA ,AAGE MENE NICHE BATAYA HAI
GATEWAY OF TALLY >INVENTRY INFO>VOUCHER TYPE > CREATE
CREATE ME AAPNE MANUFECTURING VOUCHER DALNA HAI,UNDER ME STOCK VOUCHER DALNA HAI.USKE BAAD LAST ME USE AS A MANUFECTURING VOUCHER ME YES KARNA HAI.OR ENTER KARKE ACCEPT KAR DENA HAI ,AAPKA MANUFECTURING VOUCHER BAN KAR REDDY HAI.
STEP 4.CREATE MANUFECTURING ENTRY :-
DOSTO FINELLY AB HUM MANUFECTURING ENTRY PAR PAHUNCH GYE HAI ,AB HAME ENTRY KARNI HAI.
ENTRY KARNE KE LIYE AB HAME VOUCHER OPEN KARKE ALT+F7 PRESS KARNA HAI.
ISKE BAAD ALT F7 KE BAAD VOUCHER OPEN HO JAVEGA TO AAP NE MANUFECTURING ITEM KO SELECT KARNA HAI.OR JIS DATE ME MANUFECTURING HO RAHA HAI TO AAP NE F2 SE DATE SELECT KARNI HAI.MANUFECTURING ITEM DENE KE BAAD AAP SE PUCHHA JAVEGA QTY KE BARE ME TO AAP NE JITNI BHI MANUFECTURING HUI HAI AAP NE QTY DE DENI HAI.JESE HI AAP QTY DALTE HAI OR ENTER KARTE HAI HO AAP KE SAMNE JITNI QTY AAPNE REDDY KI HAI USME KITNA KITNA RAW MATERIAL USE HUA HAI.HAME SHOW KAR JAVEGA.OR KITNA COST 1 QTY PAR PADEGA OR KITNA COST SABHI REDDY GOODS PAR PADA HAI .HAME WITH AMOUNT SHOW HO JAVEGA.
DOTO AAPKO YE JANKARI KAISI LAGI AAP MUJHE COMMENT KAR SAKTE HAI.