MARG SE TALLY PRIME 6.1 ME DATA IMPORT EXPORT KAISE KAREN | how to import marge software data to tally

MARG SE TALLY PRIME 6.1 ME DATA IMPORT EXPORT KAISE KAREN

DOSTO JAISA KI AAPNE HEADING ME DEKHA HAI KI MAI MARG SE TALLY ME DATA IMPORT KAISE KIYA JATA HAI IS BARE ME IS TOPIK ME BATANE WALA HUN.MAINE MERE YOUTUBE CHANNEL PAR ISKA VIDEO BANA RAKHA HAI.AAP IS LINK PAR CLICK KARKE VIDEO WATCH KAR SAKTE HO :-DATA TRANSFER MARG TO TALLY PRIME 6.1

DATA TRANSFER MARG TO TALLY PRIME 6.0


marg to tally data transfer













How to Export Marg data and Import in Tally software Hindi


DATA TRANSFER KE LIYE IMPORTANT TIPS

1.MARG SE TALLY ERP 9 ME DATA TRANSFER KE LIYE SABSE JARURI HAI AAPKA TALLY VERSION ORIGINAL HONA CHAHIYE

2.JAB AAP MARG SE DATA TRANSFER KARTE HAI TO PAHLE AAPNE MARG ME JO ITEMS YA GOODS CREATE KIYE HUE HAI.ITEMS ME SPECIAL CHARACTERS NAHI HONA CHAHIYE,EXAMPLE KE LIYE HUM KAI BAAR ITEMS ME (, ! # @ $ % ^ & * ( ) _ - = + \ | ) ETC .HAM ADD KAR DETE HAI TO HAMARA COMPLETE DATA TRANSFER NAHI HOTA HAI.TO FRIENDS DATA TRANSFER KARNE SE PAHLE AAP ITEMS ME SE SPECIAL CHARACTERS HATA DEVE

3. LEDGER ME ACCOUNTS GROUP SAHI DALE HONA CHAHIYE, EXAMPLE KE LIYE AAPNE ACCOUNT BANAYA SUNDRY CREDITORS KA OR DAL RAKHA HAI SUNDRY DEBTORS ME HO AAPNE DATA TRANSFER SE PAHLE ACCOUNT GROUP SAHI KARNE HAI.

4. LEDGER ME SE SPECIAL CHARACTERS HATANE HAI EXAMPLE KE LIYE (, ! # @ $ % ^ & * ( ) _ - = + \ | )  ETC. 

5.MARG ME IMPORT & EXPORT OPTION ACTIVE KARNA HAI.






6.TALLY ERP 9 ME SAME COMPANY CREATE KARNI HAI EXAMPLE KE LIYE HAMNE HANUMAN TRADING COMPANY KA DATA MARG SE TALLY ME TRANSFER KARNA HAI,TO AAPNE SAME SPELLING OR SAME NAME KI COMPANY TALLY ME BANANA HAI 

7.TALLY ERP 9 ME SAME YEAR CREATE KARNA HAI. EXAMPLE JAISE AAPNE MARG SE TALLY ME DATA FY 2019-20 KA TRANSFER KARNA HAI. TO TALLY ERP 9 ME AAPNE FY 2019-20 HI BANANA HAI.

8. VIDEO ME BATAYE ANUSAR TALLY ME F12 SE OPTIONS PAR YES KARNA HAI. OR AGAR AAP GST DATA BHI TRANSFER KARNA CHAHTE HAI TO AAPNE TALLY ME GST F11 SE ENABLE KARNA HAI.

9.AGAR AAP KE GODAWN CREATE KIYE HUE HAI TO AAP NE F11 THEN F2 SE GODAWN KO OPTION PAR YES KARNA HAI.

10.DOSTO MARG ME PAKING ME KAHI PAR SPECIAL CHARACTERS (, ! # @ $ % ^ & * ( ) _ - = + \ | ) HAI TO DATA IMPORT KARNE SE PAHLE AAP HATA LEVE TABHI AAP KA COMPLETE DATA TRANSFER HO PAVEGA.

11.TALLY ERP 9 DOWNLOAD LINK:-https://tallysolutions.com/download/


DOSTO AAPNE ABHI UPPER KE PARAGRAPH ME SABHI TIPS BATAYE HAI JO MARG SE TALLY ME DATA TRANSFER KARNE ME SAHAYTA KARENGE, AGAR AAP SABHI TARIKE SE SABHI TIPS FOLLOW KARENGE TO MARG SE TALLY ME DATA AASANI SE TRANSFER HO JAGEGA,

DOSTO AAP IN ME SE KOI BHI STEP MISS KARTE HAI TO HO SAKTA HAI KI MARG SE TALLY ME COMPLETE DATA TRANSFER NA HO,

MENE NICHE VIDEO KA LINK DIYA HAI AAP IS VIDEO KO DEKH KAR DATA TRANSFER KAR SAKTE HAI, ISKE ALAWA MAI SABHI PROCESS IS POST ME BATANE WALA HUN.

ISKE ALAWA AGAR AAP MARG SE TALLY ME DATA TRANSFER NAHI KAR SAKTE HAI YA FIR COMPLETE DATA TRANSFER NAHI HO PATA HAI TO HAMARI TEAM AAP KO MINIMUM PRICE PAR DATA TRANSFER KAR KE DE DEGI,

DOSTO TRANSFER KARNE KE LIYE MARG SOFTWARE ME KUCHH SETTINGS KARNI PADEGI.AAP STEP BY STEP FOLLOW KARTE RAHIYE AAP AASANI SE DATA TRANSFER KAR SAKTE HAI.


Export Marg Data Import into Tally Hindi


MARG SOFTWARE ME KYA SETTINGS KARNI HAI ?

1.STEP:-

TALLY SE MARG ME DATA TRANSFER KARNE KE LIYE AAP NE MARG SOFTWARE ME  VO YEAR OPEN KARNA HAI JIS YEAR KA DATA AAPNE TRANSFER KARNA HAI.

ISKE BAAD AAP NE MARG SOFTWARE ME MASTERS OPEN KARKE MARG SETUPS PAR CLICK KARKE CONTROL ROOM PAR ENTER KARNA HAI.

AAP AAP KE SAMNE CONTROL ROOM OPEN HO GYA HAI, AB AAP NE SE SEARCH IN ALL PAR ENTER KARNA HAI.

SEARCH IN ALL ME SEARCH OPTION ME TYPE KARNA HAI "EXPORT"

EXPORT TYPE KARKE ENTER KAR KE ACCEPT KAR DENA HAI.

MARG SE TALLY ERP 9 ME DATA IMPORT EXPORT KAISE KAREN


10.OPTION OF DATA IMPORT/ EXPORT/BOTH/NOT REQUIRED................(BOTH) KARNA HAI.
  • DATA FREEZ AFTER IMPORT/EXPORT/A-ASK/Y-FREEZ/D-DELETE.........(A)
  • ACCOUNT VOUCHER IMPORT ONLY FOR INVENTORY/ACCOUNTS/BOTH/NO.....(B)
  • IMPORT ACCOUNTS VOUCHER OF INVENTORY FOR BOTH/SALE/PURCHASE......(B)
DOSTO ISKE ALAWA KOI BHI CHANGING NA KAREN.AB AAP NE ENETR KARKE ACCEPT KAR DENA HAI. OR SAVE CHANGES PAR "YES" KAR DENA HAI

II STEP:-

DUSRI SETTINGS ME AAP NE REPORTS PAR ENTER KARNA HAI, REPORT PAR ENTER KARNE KE BAAD AAP MANAGEMENT REPORT PAR ENTER KARNE KE BAAD AAP CHANGE OPERATOR POWER PAR ENTER KARKE AAP SUPERWISER PASSWORD PAR ENTER KENGE,

AB AAP KE SAMNE POWERS KI WINDOW OPEN HO JAJEGI, SABSE UPPER SEARCH IN AAL PAR ENTER KARNA HAI.

POWER WINDOW ME POWER SEARCH OPTION ME EXPORT ENTER KARKE SEARCH KARNA HAI.

EXPORT EXACT MATCH ME 
1.EDIT AFTER EXPORT/IMPORT........................................................(Y) KARNA HAI.OR SAVE CHANGE PAR YES KARKE AAP WINDOW SE BAHAR AA JAYENGE.





III STEP:-

AB AAP NE REPORT PAR CLICK KARKE MANAGEMENT REPORT PAR ENTER KARENGE, USKE BAAD UTILITY PAR ENTER KARKE AAP DATA IMPORT / EXPORT PAR CLICK KARENGE OR TALLY/BUSY/EXPORT/IMPORT PAR ENTER KAREN.YANI KI


REPORT >MANAGEMENT REPORT >UTILITY>DATA IMPORT / EXPORT>TALLY/BUSY/EXPORT/IMPORT


ITNI PROCESS KE BAAD AAP KE SAMNE IS TARAH KI WINDOW OPEN HOGI.AAGE KI PROCESS BADE DHYAN SE SET BY STEP KARNA HAI. AAP NE SIRF UNHI JAGAH PAR CLICK KARNE JAHAN PAR MAI BATATA HUN.


MARG SE TALLY ERP 9 ME DATA IMPORT EXPORT KAISE KAREN



TALLY 9 IMPORT/EXPORT PAR CLICK KARNE KE BAAD AAP KE SAMNE TALLY IMPORT / EXPORT KI WINDOW OPEN HO GYI HAI.

I OPTION 

IMPORT /EXPORT:- ME AAPNE EXPORT MARG TO TALLY PAR CLICK KARNA HAI.

II OPTION

EXPORT OPTIONS:- ME AAP NE MASTERS PAR CHEK KARNA HAI OR TRANSACTIONS PAR CHEK KARNA HAI. 

III OPTIONS:-

INCLUDE INVENTORY:- PAR CHEK KARNA HAI.

IV OPTIONS:-

MASTERS FILE:-ME AAP NE FILE SAVE KARNE KI DIRECTION/ PATH DENA HAI.

V OPTION:-

DAYBOOK FILE:-AAP NE YAHAN PAR BHI PATH DE DENA HAI.

MAIN IMPORTANT WARNING:-DATA EXPORT KARNE SE PAHLE AAP NE APNE MARG SOFTWARE KA DATA KA BACKUP LENA HAI.

AAGE KI PROCESS ME AAPNE PROCEED PAR CLICK KARNA HAI, AAP NE JIS BHI DRIVE KA PATH DIYA HAI VAHAN PAR DATA XML FILE ME SAVE HO JAVEGA.


MARG DATA TRANSFER KE LIYE TALLY ME KYA SETTINGS KARNI HAI

DOSTO AAP NE MERE BATAYE ANUSAR MARG KA DATA AAP NE EXPORT KAR LIYA HOGA.

AAGE KI PROCESS ME HUMNE DEKHNA HAI KI MARG KA DATA TALLY ME IMPORT KAISE KAREN

MARG KA DATA TALLY ME IMPORT KARNE KE LIYE TALLY ERP 9 ME KUCHH SETTING KARNI PADEGI.

AB AAPNE TALLY ERP 9 START KAR LENA HAI. OR COMPANY CREATE KAR LINI HAI, AAP COMPANY CREATE KARTE SAMAY IN BANTON KA KHAS DHYAN RAKHENGE.

1.COMPANY CREATE ME YEAR ME VO HI YEAR DENA HAI JIS YEAR KA AAPNE DATA IMPORT KARNA HAI.

2.COMPANY KA NAAM ADDRESS USHI TARIKE SE DALNA HAI, JAISA KI AAPNE MARG SOFTWARE ME DAL RAKHA THA.



I STEP:-

TALLY ME COMPANY CREATE KARNE KE BAAD AAP NE GATEWAY OF TALLY KE DESHBORD PAR F12 PRESS KARNA HAI.
 
GENERAL PAR ENTER KARTE HUE AAP IMPORT/EXPORT CONFIGURATION OPTION PAR JANA HAI 



MARG SE TALLY ERP 9 ME DATA IMPORT EXPORT KAISE KAREN




AAP NE IMPORT/EXPORT CONFIGURATION ME SABHI OPTION PAR "Y" KAR DENA HAI.


II STEP:-

GATEWAY OF TALLY KE DESHBORD PAR AAP NE F11 PRESS KARNA HAI. OR ISKE BAAD INVENTORY FEATURE PAR JANA HAI.

AGAR AAP NE MARG SOFTWARE ME STORAGE WISE STOCK MAINTAIN KIYA HAI TO AAP NE STORAGE AND CLASSIFICATIONS OPTION ME JANA HAI

MAINTAIN MULTIPLE GODAWNS    ?            (Y) PRESS KARNA HAI OR ENTER KARKE ACCEPT KAR DENA HAI.


III STEP:-

AB AAPNE STATUTORY & TAXATIONS OPTION PAR JANA HAI OR GST AND OTHER TAXES AS PER DATA AAPNE MARG SOFTWARE ME FILL RAKHA HAI SABHI TAXES KI INFORMATION AAP NE YAHAN PAR FILL KAR DENI HAI,



DOSTO AAP NE SABHI SETTINGS TALLY ME KAR LI HAI AB AAP GATEWAY OF TALLY KE DESBORD PAR AA JAYEGE OR UTILITIES ME IMPORT DATA PAR ENTER KARNA HAI.

IMPORT DATA PAR ENTER KARNE KE BAAD MASTERS PAR ENTER KARNA HAI OR AAP KE SAMNE NEW WINDOW OPEN HO JAYEGI,

AAB AAPNE FILE KA PATH FIND KARKE COPY KAR LENA HAI 

NAME FILE TO BE IMPORTED (XML) :-...............................................ME AAPNE PEST KAR DENA HAI. OR ENTER KAR DENA HAI.

AB MARG SOFTWARE KA DATA TALLY ME IMPORT HONA START HO GYA HAI.

AAP KE SABHI LEDGERS, MASTERS, ITEMS, IMPORT HO GYE HAI OR AB AAPNE SABHI VOUCHERS KO IMPORT KARNA HAI TO AAP NE ISHI TARAH SE DAYBOOK IMPORT KAR LENA HAI.

DAYBOOK IMPORT KARNE KE BAAD AAP KE SABHI VOUCHERS BHI IMPORT HO JAYENGE,

IS TARAH SE MARG SE TALLY ME DATA IMPORT KIJIYE OR INJOY KIJIYE.

DOSTO UMMID KARTA HUN KI AAPKO YE POST HELPFUL LAGI HOGI, AGAR AAP KO POST HELPFUL LAGI HO PLEASE POST KO DOSTO ME SHARE KIJIYE, WHATSAPP, FACEBOOK, INSTAGRAM PAR BHI SHARE KIJIYE JISSE JIS BHI FRIEND KO IS TARAH KI JARURAT HO USKE KAAM AA SAKE, ISKE ALAWA AAP KOI BHI BAAT PUCHHNA CHAHTE HAI TO COMMENT KAR SAKTE HAI,

THANK YOU


AGAR AAP KHUD SE DATA TRANSFER NAHI KARNA CHAHTE HAI YA FIR AAP SE NAHI HO RAHA HAI TO AAP MUJHE  CONTACT KAR SAKTE HAI
CONTACT KARNE KE LIYE AAP COMMENT SECTION ME COMMENT KARKE SUBSCRIBE KAR LEVE OR APNI MAIL ID DAL DEVE TAKI HAMARI REAM AAP SE SAMPARK KARKE AAPKI PROBLEM SOLVE KAR SAKE 










Suresh shakya

My name is Suresh Kumar, I believe in learning and teaching, I am interested in helping you,Hope you like me too

3 Comments

Please Select Embedded Mode To Show The Comment System.*

Previous Post Next Post